hawa-e-tund ka jhonka udas kar dega
havā-e-tund kā jhoñkā udaas kar degā
badan se lipTegā aur be-libās kar degā
ajab hai shahr kā rasta ki jis kā or na chhor
ye rāsta to mujhe bad-havās kar degā
tū ajnabī hai bhare shahr meñ na sochā kar
ye terā tarz tujhe rū-shanās kar degā
zamāna pahle milegā to kaj-adā.ī se
phir us ke baad koī iltimās kar degā
vo mere baad baḌe shauq se mujhe likh kar
kisī kitāb kā ik iqtibās kar degā
us āftāb se kirnoñ kī bhiik mat māñgo
hisār-e-zulmat-e-shab dil ke paas kar degā
mujhe na soch mirī fikr chhoḌ de 'paikar'
ki merā ġham tujhe pahroñ udaas kar degā
hawa-e-tund ka jhonka udas kar dega
badan se lipTega aur be-libas kar dega
ajab hai shahr ka rasta ki jis ka or na chhor
ye rasta to mujhe bad-hawas kar dega
tu ajnabi hai bhare shahr mein na socha kar
ye tera tarz tujhe ru-shanas kar dega
zamana pahle milega to kaj-adai se
phir us ke baad koi iltimas kar dega
wo mere baad baDe shauq se mujhe likh kar
kisi kitab ka ek iqtibas kar dega
us aaftab se kirnon ki bhik mat mango
hisar-e-zulmat-e-shab dil ke pas kar dega
mujhe na soch meri fikr chhoD de 'paikar'
ki mera gham tujhe pahron udas kar dega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.