hawa-e-tund ke jhonke ko aazmaunga
havā-e-tund ke jhoñke ko āzmā.ūñgā
maiñ ik diye se hazāroñ diye jalā.ūñgā
maiñ shahr shahr sadā par sadā uThā.ūñgā
galīm-posh-e-ġhazal huuñ ġhazal sunā.ūñgā
ye qist qist tabassum sulagte hoñToñ par
sajā ke ab ke bhī maiñ qatl-gāh jā.ūñgā
asīr-e-gumbad-e-tanhā.ī itnā yaad rakho
maiñ bāzgasht nahīñ huuñ ki lauT ā.ūñgā
maiñ dhuup dhuup chalūñgā ye dūsroñ ke liye
saḌak ke donoñ taraf peḌ hī lagā.ūñgā
bahut haqīr huuñ lekin añdherī rātoñ meñ
maiñ jugnuoñ kī tarah roz jagmagā.uñgā
ye karb karb kahānī ye daar daar safar
maiñ ab ke lauT ke aa.uuñ to phir sunā.ūñgā
mujhe ḳhabar hai ki haiñ saañp in sūrāḳhoñ meñ
magar dobāra maiñ in se Dasā na jā.ūñgā
maiñ lamha lamha sazā.eñ to kaaT lūñgā magar
hisār-e-arz-e-suḳhan se nikal na pā.ūñgā
hawa-e-tund ke jhonke ko aazmaunga
main ek diye se hazaron diye jalaunga
main shahr shahr sada par sada uThaunga
galim-posh-e-ghazal hun ghazal sunaunga
ye qist qist tabassum sulagte honTon par
saja ke ab ke bhi main qatl-gah jaunga
asir-e-gumbad-e-tanhai itna yaad rakho
main bazgasht nahin hun ki lauT aaunga
main dhup dhup chalunga ye dusron ke liye
saDak ke donon taraf peD hi lagaunga
bahut haqir hun lekin andheri raaton mein
main jugnuon ki tarah roz jagmagaunga
ye karb karb kahani ye dar dar safar
main ab ke lauT ke aaun to phir sunaunga
mujhe KHabar hai ki hain sanp in suraKHon mein
magar dobara main in se Dasa na jaunga
main lamha lamha sazaen to kaT lunga magar
hisar-e-arz-e-suKHan se nikal na paunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.