Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hawa hai tez magar baadban to hai hi nahin

Sufiya Deepika Kausar

hawa hai tez magar baadban to hai hi nahin

Sufiya Deepika Kausar

MORE BYSufiya Deepika Kausar

    havā hai tez magar bādbāñ to hai nahīñ

    sitārā ek bhī manzil-nishāñ to hai nahīñ

    jabīn-e-shauq jhukā.eñ kahāñ sujūd kareñ

    talab raah meñ vo āstāñ to hai nahīñ

    nazar laḌe to kahāñ dil ko le ke jaa.eñ kidhar

    ḳhirad ke mulk meñ shahr-e-butāñ to hai nahīñ

    lahū lahū hai qabā kyā huā hai bismil ko

    ajiib baat hai ḳhanjar ravāñ to hai nahīñ

    haiñ sab ke sab tire rang-e-bahār mausam-e-gul

    koī bhī mahram-e-bād-e-ḳhizāñ to hai nahīñ

    hazār tiir saje haiñ nazar ke tarkash meñ

    magar vo abrū-e-misl-e-kamāñ to hai nahīñ

    makīn-e-zāt kareñ us zaat par bāteñ

    ajab ye hai ḳhabar-e-lā-makāñ to hai nahīñ

    nigāh aks meñ gum ho ga.ī magar afsos

    ye dil ki vāqif-e-shīsha-garāñ to hai nahīñ

    maiñ hāl-e-zār kahūñ us se kis tarah 'kausar'

    mire dahan meñ ik aisī zabāñ to hai nahīñ

    hawa hai tez magar baadban to hai hi nahin

    sitara ek bhi manzil-nishan to hai hi nahin

    jabin-e-shauq jhukaen kahan sujud karen

    talab ki rah mein wo aastan to hai hi nahin

    nazar laDe to kahan dil ko le ke jaen kidhar

    KHirad ke mulk mein shahr-e-butan to hai hi nahin

    lahu lahu hai qaba kya hua hai bismil ko

    ajib baat hai KHanjar rawan to hai hi nahin

    hain sab ke sab tere rang-e-bahaar mausam-e-gul

    koi bhi mahram-e-baad-e-KHizan to hai hi nahin

    hazar tir saje hain nazar ke tarkash mein

    magar wo abru-e-misl-e-kaman to hai hi nahin

    makin-e-zat karen us ki zat par baaten

    ajab ye hai KHabar-e-la-makan to hai hi nahin

    nigah aks mein gum ho gai magar afsos

    ye dil ki waqif-e-shisha-garan to hai hi nahin

    main haal-e-zar kahun us se kis tarah 'kausar'

    mere dahan mein ek aisi zaban to hai hi nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now