hawa hui jo zara tez-tar zamane ki
havā huī jo zarā tez-tar zamāne kī
muhim chalī hai charāġhoñ ko phir bujhāne kī
bahār aa ke chaman se udaas lauT ga.ī
badal sakī na fazā apne āshiyāne kī
shab-e-firāq kī āñkhoñ meñ dekh kar aañsū
sahar ne khaa.ī hai jaise qasam na aane kī
mirī ḳhabar na rakhī silsila rakhā mujh se
'ajīb rasm hai rishtoñ ko āzmāne kī
khaḌā huuñ raah meñ ik sang-e-mīl kī sūrat
sazā milī hai mujhe rāsta dikhāne kī
nigāh-e-arsh ko dhartī bhī chāñd lagtī hai
to kyā ġharaz hai sitāroñ ko muñh lagāne kī
ḳhirad kī naav hai 'bebāk' bahr-e-dil meñ ravāñ
ḳhayāl-e-yār ne Thānī hai Duub jaane kī
hawa hui jo zara tez-tar zamane ki
muhim chali hai charaghon ko phir bujhane ki
bahaar aa ke chaman se udas lauT gai
badal saki na faza apne aashiyane ki
shab-e-firaq ki aankhon mein dekh kar aansu
sahar ne khai hai jaise qasam na aane ki
meri KHabar na rakhi silsila rakha mujh se
'ajib rasm hai rishton ko aazmane ki
khaDa hun rah mein ek sang-e-mil ki surat
saza mili hai mujhe rasta dikhane ki
nigah-e-arsh ko dharti bhi chand lagti hai
to kya gharaz hai sitaron ko munh lagane ki
KHirad ki naw hai 'bebak' bahr-e-dil mein rawan
KHayal-e-yar ne Thani hai Dub jaane ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.