hawa hun aur manzil DhunDhta hun
havā huuñ aur manzil DhūñDhtā huuñ
yahī kah lījiye pāgal havā huuñ
maiñ dastak huuñ kisī vīrān ghar par
mirā anjām kyā hai jāntā huuñ
milā ḳhud se to kyā pahchān lūñgā
bahut Dartā huuñ jab ye sochtā huuñ
bujhātā hī nahīñ maiñ aag ghar kī
na jaane raah kis kī dekhtā huuñ
kahīñ sāhil pe hogā nāḳhudā to
kise āvāz duuñ maiñ Dūbtā huuñ
hawa hun aur manzil DhunDhta hun
yahi kah lijiye pagal hawa hun
main dastak hun kisi viran ghar par
mera anjam kya hai jaanta hun
mila KHud se to kya pahchan lunga
bahut Darta hun jab ye sochta hun
bujhata hi nahin main aag ghar ki
na jaane rah kis ki dekhta hun
kahin sahil pe hoga naKHuda to
kise aawaz dun main Dubta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.