hawa hun dhup hun barish hun ya ghaTa hun main
havā huuñ dhuup huuñ bārish huuñ yā ghaTā huuñ maiñ
nigāh-e-yār meñ koī batā.e kyā huuñ maiñ
hadīs-e-ishq huuñ aur paikar-e-vafā huuñ maiñ
vo jāntā hī nahīñ hai ki aa.inā huuñ maiñ
miTā na pā.egī duniyā ise qayāmat tak
likhī jo ḳhuuñ se vo rūdād-e-karbalā huuñ maiñ
tumheñ ye kaisā taraddud hai mujh tak aane meñ
tumhāre vāste manzil huuñ rāsta huuñ maiñ
havā ke dosh pe kab se savār huuñ lekin
zamāna phir bhī samajhtā hai ḳhāk-e-pā huuñ maiñ
rah-e-vafā meñ saraktī nahīñ jo sar se kabhī
vo sabr-o-zabt kī īsār kī ridā huuñ maiñ
ḳhudā kā shukr hai 'resham' zamāne vāloñ ko
ye rashk hai ki charāġhoñ kā silsila huuñ maiñ
hawa hun dhup hun barish hun ya ghaTa hun main
nigah-e-yar mein koi batae kya hun main
hadis-e-ishq hun aur paikar-e-wafa hun main
wo jaanta hi nahin hai ki aaina hun main
miTa na paegi duniya ise qayamat tak
likhi jo KHun se wo rudad-e-karbala hun main
tumhein ye kaisa taraddud hai mujh tak aane mein
tumhaare waste manzil hun rasta hun main
hawa ke dosh pe kab se sawar hun lekin
zamana phir bhi samajhta hai KHak-e-pa hun main
rah-e-wafa mein sarakti nahin jo sar se kabhi
wo sabr-o-zabt ki isar ki rida hun main
KHuda ka shukr hai 'resham' zamane walon ko
ye rashk hai ki charaghon ka silsila hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.