hawa jab kisi ki kahani kahe hai
havā jab kisī kī kahānī kahe hai
na.e mausamoñ kī zabānī kahe hai
fasāna hai jismoñ kā be-shak zamīnī
magar ruuh to āsmānī kahe hai
tujhe chal zarā sā maiñ mīThā banā duuñ
samundar se dariyā kā paanī kahe hai
Dasā rat-jagoñ ne hai ḳhvāboñ ko phir se
sulagtī huī rāt-rānī kahe hai
laTeñ chand chāñdī kī baḳhshīñ tujhe jā
vidā.a letī mujh se javānī kahe hai
hai chaḌhne lagī phir se Dhaltī huī umr
tirī shirt ye za.afrānī kahe hai
na.ī baat ho ab na.e giit chheḌo
guzartī ghaḌī har purānī kahe hai
hawa jab kisi ki kahani kahe hai
nae mausamon ki zabani kahe hai
fasana hai jismon ka be-shak zamini
magar ruh to aasmani kahe hai
tujhe chal zara sa main miTha bana dun
samundar se dariya ka pani kahe hai
Dasa rat-jagon ne hai KHwabon ko phir se
sulagti hui raat-rani kahe hai
laTen chand chandi ki baKHshin tujhe ja
widaa leti mujh se jawani kahe hai
hai chaDhne lagi phir se Dhalti hui umr
teri shirt ye zafrani kahe hai
nai baat ho ab nae git chheDo
guzarti ghaDi har purani kahe hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.