hawa jab na-munasib ho to patte TuT jate hain
havā jab nā-munāsib ho to patte TuuT jaate haiñ
jahāñ matlab-parastī ho vo rishte TuuT jaate haiñ
guloñ kī parvarish ke vāste maalī zarūrī hai
na ho māñ-bāp kā saaya to bachche TuuT jaate haiñ
agar ho jaa.e beTā nā-ḳhalaf to būḌhī āñkhoñ ke
saje hote haiñ jitne bhī vo sapne TuuT jaate haiñ
parinde haiñ agar ḳhāmosh buzdil mat samajh sayyād
agar ye zid pe aa jaa.eñ to piñjre TuuT jaate haiñ
dukhā de jo diloñ ko baat aisī mat karo 'vāqif'
zarā sī Thes lagne se ye shīshe TuuT jaate haiñ
hawa jab na-munasib ho to patte TuT jate hain
jahan matlab-parasti ho wo rishte TuT jate hain
gulon ki parwarish ke waste mali zaruri hai
na ho man-bap ka saya to bachche TuT jate hain
agar ho jae beTa na-KHalaf to buDhi aankhon ke
saje hote hain jitne bhi wo sapne TuT jate hain
parinde hain agar KHamosh buzdil mat samajh sayyaad
agar ye zid pe aa jaen to pinjre TuT jate hain
dukha de jo dilon ko baat aisi mat karo 'waqif'
zara si Thes lagne se ye shishe TuT jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.