hawa jaise koi band-e-qaba-e-nastaran khole
havā jaise koī band-e-qabā-e-nastaran khole
koī to mere bāloñ se ḳhizāñ-dīda ribbon khole
parindoñ ke paroñ ko TūTte dekhūñ to TuuTe dil
magar jab bhī bahār aa.e dar-e-sub.h-e-chaman khole
mujhe pahlū meñ pā kar dekhe koī jannat-e-arzī
kisī sapne ke bose se jo āñkheñ sīm-tan khole
hamāre saath bhī us ne ka.ī mausam guzāre haiñ
hamāre haq meñ bhī shāyad zabāñ vo gul-badan khole
kitāb-e-dilbarī ham kholte haiñ us ke paḌhne ko
hamārī bāliyāñ jaise koī pāgal pavan khole
use shak hai abhī jaagī huī haiñ ḳhvāhisheñ merī
ajal rah rah ke aa.e aur har tār-e-kafan khole
mohabbat meñ uThāte haiñ halaf sab 'shāziya-akbar’
na-jāne kaun hai jo rāz-e-shām-e-anjuman khole
hawa jaise koi band-e-qaba-e-nastaran khole
koi to mere baalon se KHizan-dida ribbon khole
parindon ke paron ko TuTte dekhun to TuTe dil
magar jab bhi bahaar aae dar-e-subh-e-chaman khole
mujhe pahlu mein pa kar dekhe koi jannat-e-arzi
kisi sapne ke bose se jo aankhen sim-tan khole
hamare sath bhi us ne kai mausam guzare hain
hamare haq mein bhi shayad zaban wo gul-badan khole
kitab-e-dilbari hum kholte hain us ke paDhne ko
hamari baaliyan jaise koi pagal pawan khole
use shak hai abhi jagi hui hain KHwahishen meri
ajal rah rah ke aae aur har tar-e-kafan khole
mohabbat mein uThate hain halaf sab 'shaziya-akbar’
na-jaane kaun hai jo raaz-e-sham-e-anjuman khole
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.