hawa ka hath pakaD kar yahan jo chalta hai
havā kā haath pakaḌ kar yahāñ jo chaltā hai
har ek dauḌ meñ aage vahī nikaltā hai
isī liye to zarā ruḳh badal ke chaltā hai
ab is zamīn pe sūraj kā paañv jaltā hai
zarūr koī na koī makān jaltā hai
julūs jab bhī mire shahr meñ nikaltā hai
ham apne shahr ke mal'ab meñ geñd kyā kheleñ
hamāre shahr kī galiyoñ meñ sar uchhaltā hai
amīr-e-shahr ke armān abhī kahāñ nikle
abhī ġharīb ke ghar meñ charāġh jaltā hai
ye kah ke jhuggiyāñ toḌīñ mahal-nashīnoñ ne
ye vo jagah hai jahāñ inqalāb paltā hai
sukūn luuT liyā shahr ke ujāloñ ne
añdherī raat meñ chhat par koī Tahaltā hai
vahāñ ḳhudā kī ḳhudā.ī pe shak ma'āz-allāh
hazār chashma-e-zamzam jahāñ ubaltā hai
ab is suḳhan meñ kisī ko bhī iḳhtilāf nahīñ
jo dūsroñ ko jalātā hai vo bhī jaltā hai
vo mere saath chale bhī to is tarah 'irfān'
ki jaise koī janāze ke saath chaltā hai
hawa ka hath pakaD kar yahan jo chalta hai
har ek dauD mein aage wahi nikalta hai
isi liye to zara ruKH badal ke chalta hai
ab is zamin pe suraj ka panw jalta hai
zarur koi na koi makan jalta hai
julus jab bhi mere shahr mein nikalta hai
hum apne shahr ke mal'ab mein gend kya khelen
hamare shahr ki galiyon mein sar uchhalta hai
amir-e-shahr ke arman abhi kahan nikle
abhi gharib ke ghar mein charagh jalta hai
ye kah ke jhuggiyan toDin mahal-nashinon ne
ye wo jagah hai jahan inqalab palta hai
sukun luT liya shahr ke ujalon ne
andheri raat mein chhat par koi Tahalta hai
wahan KHuda ki KHudai pe shak ma'az-allah
hazar chashma-e-zamzam jahan ubalta hai
ab is suKHan mein kisi ko bhi iKHtilaf nahin
jo dusron ko jalata hai wo bhi jalta hai
wo mere sath chale bhi to is tarah 'irfan'
ki jaise koi janaze ke sath chalta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.