hawa ka jal bhala TuT kar bikharta kya
havā kā jaal bhalā TuuT kar bikhartā kyā
mirī sadā kā parinda uḌaan bhartā kyā
na dast-o-pā hī salāmat rahe na sar baaqī
ab is se baḌh ke koī sāneha guzartā kyā
ki us ne tār-e-taḳhātub ko nā-gahāñ chheḌā
ulajh ke rah ga.ī āvāz sur ubhartā kyā
bikharte TūTte rishtoñ kā saḳht-jāñ manzar
bichhaḌte vaqt maiñ āñkhoñ meñ qaid kartā kyā
laraz rahī thī añdhere kī sīḌhiyāñ saarī
dayār-e-shab meñ ujālā koī utartā kyā
kanār-e-āb khaḌā sochtā rahā 'shahzād'
jo naqsh Duub chukā thā vo phir ubhartā kyā
hawa ka jal bhala TuT kar bikharta kya
meri sada ka parinda uDan bharta kya
na dast-o-pa hi salamat rahe na sar baqi
ab is se baDh ke koi saneha guzarta kya
ki us ne tar-e-taKHatub ko na-gahan chheDa
ulajh ke rah gai aawaz sur ubharta kya
bikharte TuTte rishton ka saKHt-jaan manzar
bichhaDte waqt main aankhon mein qaid karta kya
laraz rahi thi andhere ki siDhiyan sari
dayar-e-shab mein ujala koi utarta kya
kanar-e-ab khaDa sochta raha 'shahzad'
jo naqsh Dub chuka tha wo phir ubharta kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.