hawa ka talKH lahja hai charaghon ki pareshani
havā kā talḳh lahja hai charāġhoñ kī pareshānī
chamakte chāñd sūraj haiñ sitāroñ kī pareshānī
kināroñ meñ bhī shāyad Duub jaane kī talab hogī
pata kaise kareñge ham kināroñ kī pareshānī
mire pyāre hamārī zindagī meñ aur bahut ġham haiñ
mohabbat hijr ye to haiñ hazāroñ kī pareshānī
ye sahrā bhī to shāyad dhuup hī se tilmilātā hai
samundar duur kar in regzāroñ kī pareshānī
na jaane kaise kaise naqsh-e-pā ko sar pe lete haiñ
ye koī kam nahīñ hai yaar pattoñ kī pareshānī
vahī bachche ki jis ko bolnā chalnā sikhāyā thā
vahī bachche hī kyuuñ haiñ aaj maaoñ kī pareshānī
daraḳhtoñ ko bhī shāyad hijratoñ ke rañg chakhne haiñ
Tahaltī Dāliyāñ kahtī haiñ peḌoñ kī pareshānī
havā.eñ chal rahī haiñ un ko ruknā ho kahīñ shāyad
patā karte chalo kyā hai havāoñ kī pareshānī
hawa ka talKH lahja hai charaghon ki pareshani
chamakte chand suraj hain sitaron ki pareshani
kinaron mein bhi shayad Dub jaane ki talab hogi
pata kaise karenge hum kinaron ki pareshani
mere pyare hamari zindagi mein aur bahut gham hain
mohabbat hijr ye to hain hazaron ki pareshani
ye sahra bhi to shayad dhup hi se tilmilata hai
samundar dur kar in regzaron ki pareshani
na jaane kaise kaise naqsh-e-pa ko sar pe lete hain
ye koi kam nahin hai yar patton ki pareshani
wahi bachche ki jis ko bolna chalna sikhaya tha
wahi bachche hi kyun hain aaj maon ki pareshani
daraKHton ko bhi shayad hijraton ke rang chakhne hain
Tahalti Daliyan kahti hain peDon ki pareshani
hawaen chal rahi hain un ko rukna ho kahin shayad
pata karte chalo kya hai hawaon ki pareshani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.