hawa ke dosh pe dhundli si ek lakir hun main
havā ke dosh pe dhundlī sī ik lakīr huuñ maiñ
hisār-e-vaqt se uḌtā huā asiir huuñ maiñ
mire kiye tire likkhe ke silsile ya.anī
janam janam kī masāfat kā rāhgīr huuñ maiñ
sazā jazā ke hayūle mire ḳhamīr meñ haiñ
kiye karā.e kā ehsās-e-nā-guzīr huuñ maiñ
ta.alluqāt kī iqlīm kyā milegī mujhe
tavaqquāt kā bhaTkā huā safīr huuñ maiñ
ThiThur ke duur ThiThak jaa.e har kiran kā tapāk
ḳhunuk havāoñ ke narġhe meñ zamharīr huuñ maiñ
maiñ zamzama huuñ sadāoñ kā kore kāġhaz par
qalam ke zaḳhma-e-ma.asūm kī sarīr huuñ maiñ
sadā ko Dhāle hai duniyā nazar ke sāñche meñ
kahīñ nafīr yaqīnan kahīñ safīr huuñ maiñ
mire vajūd se phūTī ikā.iyāñ haiñ gavāh
ramaq meñ ushr kī simTā huā ashīr huuñ maiñ
nazar tarāsh le darpan to nang-e-nām-o-numūd
nazar panāh meñ le le to dil-pazīr huuñ maiñ
harīf-e-zo.am-e-tasādum tamām sang-e-vajūd
shahīd-e-lams-e-hinā.ī rag-e-harīr huuñ maiñ
nazar to uljhegī 'rāhī' mirī manāzir se
vahī ḳhamīr huuñ āḳhir vahī zamīr huuñ maiñ
hawa ke dosh pe dhundli si ek lakir hun main
hisar-e-waqt se uDta hua asir hun main
mere kiye tere likkhe ke silsile yani
janam janam ki masafat ka rahgir hun main
saza jaza ke hayule mere KHamir mein hain
kiye karae ka ehsas-e-na-guzir hun main
talluqat ki iqlim kya milegi mujhe
tawaqquat ka bhaTka hua safir hun main
ThiThur ke dur ThiThak jae har kiran ka tapak
KHunuk hawaon ke narghe mein zamharir hun main
main zamzama hun sadaon ka kore kaghaz par
qalam ke zaKHma-e-masum ki sarir hun main
sada ko Dhaale hai duniya nazar ke sanche mein
kahin nafir yaqinan kahin safir hun main
mere wajud se phuTi ikaiyan hain gawah
ramaq mein ushr ki simTa hua ashir hun main
nazar tarash le darpan to nang-e-nam-o-numud
nazar panah mein le le to dil-pazir hun main
harif-e-zoam-e-tasadum tamam sang-e-wajud
shahid-e-lams-e-hinai rag-e-harir hun main
nazar to uljhegi 'rahi' meri manazir se
wahi KHamir hun aaKHir wahi zamir hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.