hawa ke dosh pe rakh kar uDa diye gae hum
havā ke dosh pe rakh kar uḌā diye ga.e ham
numūd-e-sub.h se pahle bujhā diye ga.e ham
hamārā rizq-e-muqarrar hameñ pahuñchnā thā
azān-e-fajr se pahle jagā diye ga.e ham
hameñ ye zo'm thā duniyā hameñ na bhūlegī
so yaad aane se pahle bhulā diye ga.e ham
liyā jo god meñ beTe ko ye huā mahsūs
hamāre hāthoñ meñ jaise thamā diye ga.e ham
vo jis zamīn pe chalte the ham takabbur se
usī ke nīche phir ik din sulā diye ga.e ham
vatan pe jaan gañvāne kā ye milā in.aam
kisī saḌak ke kināre sajā diye ga.e ham
ḳhilāf-e-zulm kiyā ehtijāj jab ham ne
to 'altamash' sar-e-neza chaḌhā diye ga.e ham
hawa ke dosh pe rakh kar uDa diye gae hum
numud-e-subh se pahle bujha diye gae hum
hamara rizq-e-muqarrar hamein pahunchna tha
azan-e-fajr se pahle jaga diye gae hum
hamein ye zo'm tha duniya hamein na bhulegi
so yaad aane se pahle bhula diye gae hum
liya jo god mein beTe ko ye hua mahsus
hamare hathon mein jaise thama diye gae hum
wo jis zamin pe chalte the hum takabbur se
usi ke niche phir ek din sula diye gae hum
watan pe jaan ganwane ka ye mila inam
kisi saDak ke kinare saja diye gae hum
KHilaf-e-zulm kiya ehtijaj jab hum ne
to 'altamash' sar-e-neza chaDha diye gae hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.