hawa ke jhonke shajar ko to be-qaba karenge
havā ke jhoñke shajar ko to be-qabā kareñge
tire divāne bahār aane pe kyā kareñge
hamāre hāthoñ meñ aa.ina to sadā rahegā
ki dostoñ ko ḳhafā kiyā hai ḳhafā kareñge
hamārī nekī agarche dariyā meñ jā paḌī hai
magar sabhī kā bhalā kiyā hai bhalā kareñge
vo jis takalluf se ham se miltā hai roz aa kar
usī takalluf se ham bhī us se milā kareñge
abhī akele haiñ is liye jam ke so rahe haiñ
agar vo aa jā.egā to phir rat-jagā kareñge
hawa ke jhonke shajar ko to be-qaba karenge
tere diwane bahaar aane pe kya karenge
hamare hathon mein aaina to sada rahega
ki doston ko KHafa kiya hai KHafa karenge
hamari neki agarche dariya mein ja paDi hai
magar sabhi ka bhala kiya hai bhala karenge
wo jis takalluf se hum se milta hai roz aa kar
usi takalluf se hum bhi us se mila karenge
abhi akele hain is liye jam ke so rahe hain
agar wo aa jaega to phir rat-jaga karenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.