hawa ke ruKH par charagh-e-ulfat ki lau baDha kar chala gaya hai
hawa ke ruKH par charagh-e-ulfat ki lau baDha kar chala gaya hai
Hasan Rizvi
MORE BYHasan Rizvi
havā ke ruḳh par charāġh-e-ulfat kī lau baḌhā kar chalā gayā hai
vo ik diye se na jaane kitne diye jalā kar chalā gayā hai
ham us kī bātoñ kī bārishoñ meñ har ek mausam meñ bhīgte the
vo apnī chāhat ke saare manzar hameñ dikhā kar chalā gayā hai
usī ke baare meñ harf likkhe usī pe ham ne ġhazal kahī hai
jo kajlī āñkhoñ se mere dil meñ naqab lagā kar chalā gayā hai
matā-e-jāñ bhī usī pe vaarī usī ke dam se hai saañs jaarī
mire badan meñ vo ḳhushbuoñ kī havā basā kar chalā gayā hai
ye fasl-e-fikr-o-ḳhayāl apnī usī ke dam se harī-bharī hai
jo kachche koThoñ ke āñganoñ se dhuāñ uThā kar chalā gayā hai
hamārī āñkhoñ meñ ratjage kī jhaḌī lagī hai usī ghaḌī se
ki jab se koī ġhazāl apnī jhalak dikhā kar chalā gayā hai
hiran mohabbat ke sabza-zāroñ meñ jaane kab chaukḌī bhareñge
vo jaate jaate savāl aisā 'hasan' uThā kar chalā gayā hai
hawa ke ruKH par charagh-e-ulfat ki lau baDha kar chala gaya hai
wo ek diye se na jaane kitne diye jala kar chala gaya hai
hum us ki baaton ki barishon mein har ek mausam mein bhigte the
wo apni chahat ke sare manzar hamein dikha kar chala gaya hai
usi ke bare mein harf likkhe usi pe hum ne ghazal kahi hai
jo kajli aankhon se mere dil mein naqab laga kar chala gaya hai
mata-e-jaan bhi usi pe wari usi ke dam se hai sans jari
mere badan mein wo KHushbuon ki hawa basa kar chala gaya hai
ye fasl-e-fikr-o-KHayal apni usi ke dam se hari-bhari hai
jo kachche koThon ke aanganon se dhuan uTha kar chala gaya hai
hamari aankhon mein ratjage ki jhaDi lagi hai usi ghaDi se
ki jab se koi ghazal apni jhalak dikha kar chala gaya hai
hiran mohabbat ke sabza-zaron mein jaane kab chaukDi bharenge
wo jate jate sawal aisa 'hasan' uTha kar chala gaya hai
- Book : Khawab Suhane yaad aate hain (Pg. 78)
- Author : Hasan Rizvi
- Publication : Khazina ilm-o-adab al-karim market urdu bazar, Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.