hawa ke sath koi harf-e-chashm-e-tar jae
havā ke saath koī harf-e-chashm-e-tar jaa.e
maiñ ḳhud na jā.ūñ to us tak mirī ḳhabar jaa.e
mire ḳhulūs pe qadġhan lagā.iye sāhab
ye dil vafā kī aziyyat se hī na bhar jaa.e
tū sañg-sāz taḌḳhne se āshnā hī nahīñ
tirī balā se agar aa.ina bikhar jaa.e
to kyā maiñ pyaas kā maarā paḌā rahūñ yūñhī
to kyā ye abr mire saath haath kar jaa.e
to kyā ye ḳhvāb kināre na lag sakeñ 'irshād'
to kyā ye mauj-e-tamannā-e-dil utar jaa.e
hawa ke sath koi harf-e-chashm-e-tar jae
main KHud na jaun to us tak meri KHabar jae
mere KHulus pe qadghan lagaiye sahab
ye dil wafa ki aziyyat se hi na bhar jae
tu sang-saz taDKHne se aashna hi nahin
teri bala se agar aaina bikhar jae
to kya main pyas ka mara paDa rahun yunhi
to kya ye abr mere sath hath kar jae
to kya ye KHwab kinare na lag saken 'irshad'
to kya ye mauj-e-tamanna-e-dil utar jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.