hawa ki chaal chal jaega tu bhi
havā kī chaal chal jā.egā tū bhī
ḳhabar kyā thī badal jā.egā tū bhī
kahāñ Thahrī hai ḳhvāhish koī dil meñ
mire dil se nikal jā.egā tū bhī
muḳhātab huuñ jamāl-e-yār tujh se
misāl-e-māh Dhal jā.egā tū bhī
bas apne tajarbe kī raushnī meñ
maiñ samjhā thā sambhal jā.egā tū bhī
hañse tū laakh merī tiflagī par
khilaunoñ se bahal jā.egā tū bhī
hawa ki chaal chal jaega tu bhi
KHabar kya thi badal jaega tu bhi
kahan Thahri hai KHwahish koi dil mein
mere dil se nikal jaega tu bhi
muKHatab hun jamal-e-yar tujh se
misal-e-mah Dhal jaega tu bhi
bas apne tajarbe ki raushni mein
main samjha tha sambhal jaega tu bhi
hanse tu lakh meri tiflagi par
khilaunon se bahal jaega tu bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.