hawa ki tarh main jis aag ke hisar mein tha
havā kī tarh maiñ jis aag ke hisār meñ thā
mirā nasīb usī halqa-e-sharār meñ thā
jo sang us ne uThāyā thā mere sar ke liye
vo kab gulāb banegā maiñ intizār meñ thā
banā rahā thā vo kal hī to aise mansūbe
ki jaise nazm-e-jahāñ us ke iḳhtiyār meñ thā
khulā jo us kā tilism-e-badan mire dil par
mujhe lagā ki maiñ rangoñ ke ābshār meñ thā
milā thā mujh se vo aġhyār ke vasīle se
vo be-ḳhabar thā ki maiñ us ke iḳhtiyār meñ thā
koī charāġh thā raushan ki us kā rū-e-jamīl
har ek samt ujālā sā rahguzār meñ thā
jo ek sang se kitne hī phal girā detā
vo shaḳhs tez havāoñ ke intizār meñ thā
balā.eñ lauT ga.iiñ dekh kar 'bashīr' mujhe
ki maiñ to sūra-e-yāsīn ke hisār meñ thā
hawa ki tarh main jis aag ke hisar mein tha
mera nasib usi halqa-e-sharar mein tha
jo sang us ne uThaya tha mere sar ke liye
wo kab gulab banega main intizar mein tha
bana raha tha wo kal hi to aise mansube
ki jaise nazm-e-jahan us ke iKHtiyar mein tha
khula jo us ka tilism-e-badan mere dil par
mujhe laga ki main rangon ke aabshaar mein tha
mila tha mujh se wo aghyar ke wasile se
wo be-KHabar tha ki main us ke iKHtiyar mein tha
koi charagh tha raushan ki us ka ru-e-jamil
har ek samt ujala sa rahguzar mein tha
jo ek sang se kitne hi phal gira deta
wo shaKHs tez hawaon ke intizar mein tha
balaen lauT gain dekh kar 'bashir' mujhe
ki main to sura-e-yasin ke hisar mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.