hawa ki zad pe charaghon ne raushni ki hai
havā kī zad pe charāġhoñ ne raushnī kī hai
basar 'urūj pe in sab ne zindagī kī hai
mirī nazar meñ ye tauhīn-e-'āshiqī kī hai
nahīñ hai pyaar to kyoñ us ne dil-lagī kī hai
huqūq salb kiye jā rahe haiñ jab us ke
hai be-kasī kī 'alāmat ki ḳhud-kushī kī hai
tahī ho jaam to is kā nahīñ hai ġham mujh ko
kisī kī mast nigāhoñ ne mai-kashī kī hai
nahīñ javāb jahāñgīr kī 'adālat kā
lagā ke jaan kī baazī bhī munsifī kī hai
misāl aur to tārīḳh meñ nahīñ miltī
ki ham ne apne 'adū se bhī dostī kī hai
sharaf ye dūsrī maḳhlūq ko nahīñ hāsil
rasā.ī 'arsh-e-mu'allā pe aadmī kī hai
jalā ke dil ko ujālā kiyā hai mahfil meñ
hujūm-e-ġham meñ 'kashish' ham ne shā'irī kī hai
hawa ki zad pe charaghon ne raushni ki hai
basar 'uruj pe in sab ne zindagi ki hai
meri nazar mein ye tauhin-e-'ashiqi ki hai
nahin hai pyar to kyon us ne dil-lagi ki hai
huquq salb kiye ja rahe hain jab us ke
hai be-kasi ki 'alamat ki KHud-kushi ki hai
tahi ho jam to is ka nahin hai gham mujh ko
kisi ki mast nigahon ne mai-kashi ki hai
nahin jawab jahangir ki 'adalat ka
laga ke jaan ki bazi bhi munsifi ki hai
misal aur to tariKH mein nahin milti
ki hum ne apne 'adu se bhi dosti ki hai
sharaf ye dusri maKHluq ko nahin hasil
rasai 'arsh-e-mu'alla pe aadmi ki hai
jala ke dil ko ujala kiya hai mahfil mein
hujum-e-gham mein 'kashish' hum ne sha'iri ki hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.