hawa ki zad pe diye ko sanbhaal rakkha hai
havā kī zad pe diye ko sañbhāl rakkhā hai
fasīl-e-shab pe ujālā bahāl rakkhā hai
azal se haiñ ḳhat-e-mehvar pe ye zamān-o-makāñ
zamīñ pe silsila-e-māh-o-sāl rakkhā hai
sifāt-o-zāt ko azdād par kiyā taqsīm
ḳhushī ke saath ġham-e-lā-zavāl rakkhā hai
ḳhushī atā kī diloñ ko ba-qadr-e-paimāna
faroġh-e-ġham meñ bhī ik e'tidāl rakkhā hai
rumūz khol diye mujh pe āsmānoñ ke
magar shu.ūr meñ dām-e-ḳhayāl rakkhā hai
usī ne ḳhaak se paidā kiyā hai insāñ ko
magar har ik kā judā ḳhadd-o-ḳhāl rakkhā hai
har ek naqsh ko us ne baḌī mahārat se
bahut aziim magar be-misāl rakkhā hai
kamāl ye hai ki taḳhlīq-e-kā.enāt huī
magar kamāl meñ pinhāñ savāl rakkhā hai
yahī hai shān-e-karīmī yahī hai husn-e-kamāl
har ek shai kā urūj-o-zavāl rakkhā hai
'sabā' hazār atā kī haiñ ne.amateñ us ne
magar jahāñ meñ asīr-e-malāl rakkhā hai
hawa ki zad pe diye ko sanbhaal rakkha hai
fasil-e-shab pe ujala bahaal rakkha hai
azal se hain KHat-e-mehwar pe ye zaman-o-makan
zamin pe silsila-e-mah-o-sal rakkha hai
sifat-o-zat ko azdad par kiya taqsim
KHushi ke sath gham-e-la-zawal rakkha hai
KHushi ata ki dilon ko ba-qadr-e-paimana
farogh-e-gham mein bhi ek e'tidal rakkha hai
rumuz khol diye mujh pe aasmanon ke
magar shuur mein dam-e-KHayal rakkha hai
usi ne KHak se paida kiya hai insan ko
magar har ek ka juda KHadd-o-KHal rakkha hai
har ek naqsh ko us ne baDi mahaarat se
bahut azim magar be-misal rakkha hai
kamal ye hai ki taKHliq-e-kaenat hui
magar kamal mein pinhan sawal rakkha hai
yahi hai shan-e-karimi yahi hai husn-e-kamal
har ek shai ka uruj-o-zawal rakkha hai
'saba' hazar ata ki hain neamaten us ne
magar jahan mein asir-e-malal rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.