hawa ki zid mein hamein ab dua jalana hai
hawa ki zid mein hamein ab dua jalana hai
Mohammad Amir Alvi Amir
MORE BYMohammad Amir Alvi Amir
havā kī zid meñ hameñ ab duā jalānā hai
ki hausloñ ko zamāne ke āzmānā hai
gire daraḳht nahīñ ham ki phal na pā.eñge
ye aur baat jaḌoñ ko abhī zamāna hai
dīvāne Darte nahīñ āñdhiyoñ se vo jin ko
ki ret kā hī sahī ghar magar banānā hai
usī se maiñ ne duā yuuñ hamesha hī māñgī
agar vo but hai to us ko ḳhudā banānā hai
haiñ uñgliyoñ meñ phañse jism chīḳhtī rūheñ
unheñ to bhuuk magar bachchoñ kī miTānā hai
maiñ huuñ to ḳhaak magar ḳhushbuoñ sī hai qismat
havā ke saath fazā meñ bikhar hī jaanā hai
hawa ki zid mein hamein ab dua jalana hai
ki hauslon ko zamane ke aazmana hai
gire daraKHt nahin hum ki phal na paenge
ye aur baat jaDon ko abhi zamana hai
diwane Darte nahin aandhiyon se wo jin ko
ki ret ka hi sahi ghar magar banana hai
usi se main ne dua yun hamesha hi mangi
agar wo but hai to us ko KHuda banana hai
hain ungliyon mein phanse jism chiKHti ruhen
unhen to bhuk magar bachchon ki miTana hai
main hun to KHak magar KHushbuon si hai qismat
hawa ke sath faza mein bikhar hi jaana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.