hawa mein zahr hai har rasta ghubar mein hai
havā meñ zahr hai har rāsta ġhubār meñ hai
daraḳht phir bhī musāfir ke intizār meñ hai
na lutf sulh meñ koī na chhup ke vaar meñ hai
maza to jang kā dushman se ār-pār meñ hai
abhī maiñ us ke ġhulāmoñ kī huuñ ġhulāmī meñ
ye kā.enāt abhī mere iḳhtiyār meñ hai
isī liye hai nigāh-e-sitam chaman-bezār
vo rang gul meñ nahīñ hai jo zul-fiqār meñ hai
jahāñ se chāhā sitārā falak se toḌ liyā
ye vo hunar hai jo bachpan se ḳhāksār meñ hai
charāġh bechne vaale haiñ sab ḳhasāre meñ
ki fā.eda to havāoñ ke kārobār meñ hai
hawa mein zahr hai har rasta ghubar mein hai
daraKHt phir bhi musafir ke intizar mein hai
na lutf sulh mein koi na chhup ke war mein hai
maza to jang ka dushman se aar-par mein hai
abhi main us ke ghulamon ki hun ghulami mein
ye kaenat abhi mere iKHtiyar mein hai
isi liye hai nigah-e-sitam chaman-bezar
wo rang gul mein nahin hai jo zul-fiqar mein hai
jahan se chaha sitara falak se toD liya
ye wo hunar hai jo bachpan se KHaksar mein hai
charagh bechne wale hain sab KHasare mein
ki faeda to hawaon ke karobar mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.