hawa mizaj badalti hai tab bikharte hain
havā mizāj badaltī hai tab bikharte haiñ
ḳhushī se log bulandī se kab utarte haiñ
tujhe bhulāne ko sīkhā thā shā'irī kā hunar
har ek she'r meñ ab tujh ko yaad karte haiñ
hameñ pata hai taḌap tishnagī ke baḌhne kī
isī liye to sabhī ke gilās bharte haiñ
ġhubār is liye āñkhoñ pe chhāyā rahtā hai
idhar se roz ka.ī qāfile guzarte haiñ
tirā ḳhayāl salāmat to kyā hai tanhā.ī
charāġh vaale kahīñ tīrgī se Darte haiñ
hawa mizaj badalti hai tab bikharte hain
KHushi se log bulandi se kab utarte hain
tujhe bhulane ko sikha tha sha'iri ka hunar
har ek she'r mein ab tujh ko yaad karte hain
hamein pata hai taDap tishnagi ke baDhne ki
isi liye to sabhi ke gilas bharte hain
ghubar is liye aankhon pe chhaya rahta hai
idhar se roz kai qafile guzarte hain
tera KHayal salamat to kya hai tanhai
charagh wale kahin tirgi se Darte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.