hawa nasib banaya safar likha usne
havā nasīb banāyā safar likhā us ne
tamām umr phirūñ dar-ba-dar likhā us ne
sulagtī dhuup kī mānind ziist dī lekin
na sā.ebān na koī shajar likhā us ne
tamām shahr pe be-nām ḳhauf taarī hai
ye jinn kā bhuut kā kis kā asar likhā us ne
ye aur baat ki unvāñ banā diyā mujh ko
ġhamoñ ke qisse ko ek ik satar likhā us ne
ab aa.e ḳhauf sā ghar ke ḳhayāl se mujh ko
ye kaisā dil meñ sar-e-shām Dar likhā us ne
hawa nasib banaya safar likha us ne
tamam umr phirun dar-ba-dar likha us ne
sulagti dhup ki manind zist di lekin
na saeban na koi shajar likha us ne
tamam shahr pe be-nam KHauf tari hai
ye jinn ka bhut ka kis ka asar likha us ne
ye aur baat ki unwan bana diya mujh ko
ghamon ke qisse ko ek ek satar likha us ne
ab aae KHauf sa ghar ke KHayal se mujh ko
ye kaisa dil mein sar-e-sham Dar likha us ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.