hawa se baat karne ke liye tha
havā se baat karne ke liye thā
charāġh-e-shab bikharne ke liye thā
jise tum aur gahrā kar rahe ho
vahī to zaḳhm bharne ke liye thā
vo vāpas lauT ke aaya nahīñ hai
baras yūñhī guzarne ke liye thā
vo chehra bhūltā jaatā hai mujh ko
jo canvas par utarne ke liye thā
mirā ḳhāmosh ho jaanā achānak
shikāyat tum se karne ke liye thā
na.e mausam se merā shaam milnā
tirī ummīd karne ke liye thā
ik aisā hādisa bhī ho chukā hai
jo kaafī us ke marne ke liye thā
hawa se baat karne ke liye tha
charagh-e-shab bikharne ke liye tha
jise tum aur gahra kar rahe ho
wahi to zaKHm bharne ke liye tha
wo wapas lauT ke aaya nahin hai
baras yunhi guzarne ke liye tha
wo chehra bhulta jata hai mujh ko
jo canwas par utarne ke liye tha
mera KHamosh ho jaana achanak
shikayat tum se karne ke liye tha
nae mausam se mera sham milna
teri ummid karne ke liye tha
ek aisa hadisa bhi ho chuka hai
jo kafi us ke marne ke liye tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.