hawa se ujaD kar bikhar kyun gae
Interesting Fact
Baal-e-Gibril
havā se ujaḌ kar bikhar kyuuñ ga.e
vo patte jo sarsabz shāḳhoñ pe the
harī ghaas kis ke lahū se jalī
vo titlī ke rañgīn par kyā hue
nahīñ koī chiḌiyā kisī Daal par
daraḳhtoñ pe makḌī ne jaale bune
darīchoñ ke shīshoñ kā dil toḌ kar
makāñ ḳhālī rūhoñ ke maskan bane
hai ḳhabroñ ke chehroñ pe vahshat bahut
maiñ dekhūñ jo un ko mirā jī Dare
jo āñkhoñ kī 'fikrī' hañsī chhīn leñ
vo kis tiira jañgal ke haiñ bheḌiye
hawa se ujaD kar bikhar kyun gae
wo patte jo sarsabz shaKHon pe the
hari ghas kis ke lahu se jali
wo titli ke rangin par kya hue
nahin koi chiDiya kisi Dal par
daraKHton pe makDi ne jale bune
darichon ke shishon ka dil toD kar
makan KHali ruhon ke maskan bane
hai KHabron ke chehron pe wahshat bahut
main dekhun jo un ko mera ji Dare
jo aankhon ki 'fikri' hansi chhin len
wo kis tera jangal ke hain bheDiye
- Book : 1971 ki Muntakhab Shayri (Pg. 84)
- Author : Kumar Pashi, Prem Gopal Mittal
- Publication : P.K. Publishers, New Delhi (1972)
- Edition : 1972
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.