hawa se zard patte gir rahe hain
havā se zard patte gir rahe haiñ
kitāboñ ke varaq bikhre paḌe haiñ
isī paanī meñ machhlī kā makāñ hai
isī paanī meñ pyāse ham mare haiñ
jahāñ gulzār khiltā thā hañsī kā
vahīñ chamgādaḌoñ ke ghoñsle haiñ
añdhere meñ Darā dete haiñ ham ko
ye kapḌe khūñTiyoñ par jo Tañge haiñ
kabhī to ḳhaak meñ vo bhī mileñge
abhī jo chāñd se 'fikrī' bane haiñ
hawa se zard patte gir rahe hain
kitabon ke waraq bikhre paDe hain
isi pani mein machhli ka makan hai
isi pani mein pyase hum mare hain
jahan gulzar khilta tha hansi ka
wahin chamgadaDon ke ghonsle hain
andhere mein Dara dete hain hum ko
ye kapDe khunTiyon par jo Tange hain
kabhi to KHak mein wo bhi milenge
abhi jo chand se 'fikri' bane hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.