hawa zamane ki saqi badal to sakti hai
havā zamāne kī saaqī badal to saktī hai
hayāt sāġhar-e-rañgīñ meñ Dhal to saktī hai
bas ik latīf tabassum bas ik hasīn nazar
marīz-e-dil kī ye hālat sambhal to saktī hai
jahāñ se chhoḌ rahe ho mujhe añdhere meñ
vahīñ se rāh-e-mohabbat nikal to saktī hai
phir apne ġhuncha-e-zaḳhm-e-jigar kā kyā hogā
nasīm-e-sub.h mirī samt chal to saktī hai
tirī nigāh-e-karam kī qasam hai ab bhī mujhe
yahī yaqīn ki duniyā badal to saktī hai
'salām' jām-o-subū kī ye shā.irī ma.alūm
vagarna apnī tabī.at bahal to saktī hai
hawa zamane ki saqi badal to sakti hai
hayat saghar-e-rangin mein Dhal to sakti hai
bas ek latif tabassum bas ek hasin nazar
mariz-e-dil ki ye haalat sambhal to sakti hai
jahan se chhoD rahe ho mujhe andhere mein
wahin se rah-e-mohabbat nikal to sakti hai
phir apne ghuncha-e-zaKHm-e-jigar ka kya hoga
nasim-e-subh meri samt chal to sakti hai
teri nigah-e-karam ki qasam hai ab bhi mujhe
yahi yaqin ki duniya badal to sakti hai
'salam' jam-o-subu ki ye shairi malum
wagarna apni tabiat bahal to sakti hai
- Book : Noquush (Pg. B-365 E-379)
- Publication : Nuqoosh Press Lahore (May June 1954)
- Edition : May June 1954
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.