hawadis ki maujen kabhi tez dhaare

hawadis ki maujen kabhi tez dhaare
Mohammad Abdul Qadir Adeeb
MORE BYMohammad Abdul Qadir Adeeb
havādis kī maujeñ kabhī tez dhāre
safīna lage kis tarah us kināre
guzāre haiñ un se bichhaḌ kar jo lamhe
ḳhudārā na pūchho vo kyūñkar guzāre
mohabbat kī baazī hai kitnī anokhī
na ham un se jiite na vo ham se haare
sar-e-chashm rahte haiñ ashkoñ ke jalve
diye jis tarah hoñ bhañvar ke kināre
karam hogā kuchh to 'atā kījiyegā
khaḌe haiñ ka.ī log dāman pasāre
sañbhal kar 'adīb' un se āñkheñ milāo
jalāte haiñ un kī nazar ke sharāre
hawadis ki maujen kabhi tez dhaare
safina lage kis tarah us kinare
guzare hain un se bichhaD kar jo lamhe
KHudara na puchho wo kyunkar guzare
mohabbat ki bazi hai kitni anokhi
na hum un se jite na wo hum se haare
sar-e-chashm rahte hain ashkon ke jalwe
diye jis tarah hon bhanwar ke kinare
karam hoga kuchh to 'ata kijiyega
khaDe hain kai log daman pasare
sanbhal kar 'adib' un se aankhen milao
jalate hain un ki nazar ke sharare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.