hawadisat ke chhakke chhuDae hain humne
havādisāt ke chhakke chhuḌā.e haiñ ham ne
charāġh zad pe havā kī jalā.e haiñ ham ne
buland hausle hone diye na bātil ke
sar-e-ġhurūr-o-takabbur jhukā.e haiñ ham ne
ajal se ham ne laḌāyā hai bārhā panja
havādisāt ke bhī naaz uThā.e haiñ ham ne
bhulā sakegī na tārīḳh vaqt kī jin ko
fareb aise bhī dānista khaa.e haiñ ham ne
baḌhī hai sehn-e-gulistāñ meñ jab bhī tārīkī
charāġh apne lahū se jalā.e haiñ ham ne
na de sakā jinheñ anjām koī duniyā meñ
vo kaam kar ke jahāñ meñ dikhā.e haiñ ham ne
sitam hamīñ pe hai ilzām-e-bevafā.ī bhī
hazār zaḳhm kaleje pe khaa.e haiñ ham ne
hameñ payām-e-tarab koī kyā sunā.egā
tamām 'umr 'razī' ġham uThā.e haiñ ham ne
hawadisat ke chhakke chhuDae hain hum ne
charagh zad pe hawa ki jalae hain hum ne
buland hausle hone diye na baatil ke
sar-e-ghurur-o-takabbur jhukae hain hum ne
ajal se hum ne laDaya hai barha panja
hawadisat ke bhi naz uThae hain hum ne
bhula sakegi na tariKH waqt ki jin ko
fareb aise bhi danista khae hain hum ne
baDhi hai sehn-e-gulistan mein jab bhi tariki
charagh apne lahu se jalae hain hum ne
na de saka jinhen anjam koi duniya mein
wo kaam kar ke jahan mein dikhae hain hum ne
sitam hamin pe hai ilzam-e-bewafai bhi
hazar zaKHm kaleje pe khae hain hum ne
hamein payam-e-tarab koi kya sunaega
tamam 'umr 'razi' gham uThae hain hum ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.