hawaon ko aazma raha hun mujhe duaon mein yaad rakhna
hawaon ko aazma raha hun mujhe duaon mein yaad rakhna
Adnan Akhtar Azmi
MORE BYAdnan Akhtar Azmi
havāoñ ko aazmā rahā huuñ mujhe du'āoñ meñ yaad rakhnā
charāġh-e-ulfat jalā rahā huuñ mujhe du'āoñ meñ yaad rakhnā
zamāne vāloñ ko she'r paḌh kar sunā rahā huuñ fasāna-e-dil
maiñ dard apnā batā rahā huuñ mujhe du'āoñ meñ yaad rakhnā
jo log bhaTke hue haiñ ik din zarūr ā.eñge rāste par
ḳhudā kī jānib bulā rahā huuñ mujhe du'āoñ meñ yaad rakhnā
vatan kī miTTī salām tujh ko vatan ke logo salām tum ko
kamāne pardes jā rahā huuñ mujhe du'āoñ meñ yaad rakhnā
tumhārā chehra tumhārī āñkheñ mire tasavvur meñ jāguzīñ hai
banā rahā huuñ miTā rahā huuñ mujhe du'āoñ meñ yaad rakhnā
maiñ jāntā huuñ shaġhaf hai kis ko suḳhan se aur shā'irī se 'adnān'
ġhazal usī ko sunā rahā huuñ mujhe du'āoñ meñ yaad rakhnā
hawaon ko aazma raha hun mujhe du'aon mein yaad rakhna
charagh-e-ulfat jala raha hun mujhe du'aon mein yaad rakhna
zamane walon ko she'r paDh kar suna raha hun fasana-e-dil
main dard apna bata raha hun mujhe du'aon mein yaad rakhna
jo log bhaTke hue hain ek din zarur aaenge raste par
KHuda ki jaanib bula raha hun mujhe du'aon mein yaad rakhna
watan ki miTTi salam tujh ko watan ke logo salam tum ko
kamane pardes ja raha hun mujhe du'aon mein yaad rakhna
tumhaara chehra tumhaari aankhen mere tasawwur mein jaguzin hai
bana raha hun miTa raha hun mujhe du'aon mein yaad rakhna
main jaanta hun shaghaf hai kis ko suKHan se aur sha'iri se 'adnan'
ghazal usi ko suna raha hun mujhe du'aon mein yaad rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.