Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hawaon ko main paDhna sikh lunga

Khayal Laddakhi

hawaon ko main paDhna sikh lunga

Khayal Laddakhi

MORE BYKhayal Laddakhi

    havāoñ ko maiñ paḌhnā siikh lūñgā

    agar pattoñ jhaḌnā siikh lūñgā

    haqīqat se mukarnā siikh lūñgā

    chalo sajnā sañvarnā siikh lūñgā

    rihā kar do mujhe tum bandishoñ se

    maiñ tanhā.ī se laḌnā siikh lūñgā

    ḳharāba raah meñ mil jaa.e koī

    zarā maiñ bhī Thaharnā siikh lūñgā

    lakīreñ khul ke aa.eñ sāmne gar

    maiñ qismat ko bhī paḌhnā siikh lūñgā

    mirī har ek ḳhvāhish hogī puurī

    diye ko jab ragaḌnā siikh lūñgā

    agar rishte nibhānā ho zarūrī

    to maiñ laḌnā-jhagaḌnā siikh lūñgā

    safar Thokaroñ ke baa'd maiñ bhī

    koī dāman pakaḌnā siikh lūñgā

    abhī ḳhauf-e-ḳhudā sar par hai taarī

    kabhī ḳhud se bhī Darnā siikh lūñgā

    banānā ḳhud ko sīkhā zindagī-bhar

    'ḳhayāl' ab ke bigaḌnā siikh lūñgā

    hawaon ko main paDhna sikh lunga

    agar patton sa jhaDna sikh lunga

    haqiqat se mukarna sikh lunga

    chalo sajna sanwarna sikh lunga

    riha kar do mujhe tum bandishon se

    main tanhai se laDna sikh lunga

    KHaraba rah mein mil jae koi

    zara main bhi Thaharna sikh lunga

    lakiren khul ke aaen samne gar

    main qismat ko bhi paDhna sikh lunga

    meri har ek KHwahish hogi puri

    diye ko jab ragaDna sikh lunga

    agar rishte nibhana ho zaruri

    to main laDna-jhagaDna sikh lunga

    safar ki Thokaron ke ba'd main bhi

    koi daman pakaDna sikh lunga

    abhi KHauf-e-KHuda sar par hai tari

    kabhi KHud se bhi Darna sikh lunga

    banana KHud ko sikha zindagi-bhar

    'KHayal' ab ke bigaDna sikh lunga

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now