hawaon se bacha koi nahin hai
havāoñ se bachā koī nahīñ hai
diyā jaltā huā koī nahīñ hai
ye sach hai be-vafā haiñ log lekin
ġhalat hai bā-vafā koī nahīñ hai
na jaane kyoñ maiñ aksar sochtī huuñ
akelī huuñ mirā koī nahīñ hai
zabānoñ par paḌe haiñ qufl sab ke
yahāñ ab boltā koī nahīñ hai
ye kis bastī meñ 'rāhat' aa ga.ī huuñ
hai sannāTā sadā koī nahīñ hai
hawaon se bacha koi nahin hai
diya jalta hua koi nahin hai
ye sach hai be-wafa hain log lekin
ghalat hai ba-wafa koi nahin hai
na jaane kyon main aksar sochti hun
akeli hun mera koi nahin hai
zabanon par paDe hain qufl sab ke
yahan ab bolta koi nahin hai
ye kis basti mein 'rahat' aa gai hun
hai sannaTa sada koi nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.