hawas khoi hui KHud se be-KHabar Thahri
havās khoī huī ḳhud se be-ḳhabar Thahrī
nazar jidhar bhī ga.ī der tak udhar Thahrī
junūñ ke rū-ba-rū koī na tājvar Thahrā
hamāre paañv kī zanjīr mo'atabar Thahrī
hamāre sāmne thā taḳht-o-tāj kā aalam
nazar hamārī magar jā ke daar par Thahrī
gayā na maiñ kisī sūrat panāh meñ us kī
vo chhāñv mere liye der tak magar Thahrī
ye dhuup jis ko kahīñ shahr meñ amaañ na milī
to be-jhijhak ye mire ghar ke baam par Thahrī
na jaane kaun use de gayā ġham-e-furqat
falak pe chāñdnī be-sūd raat bhar Thahrī
ġhazal udaas bahut jaane aas meñ kis kī
lagā ke Tek darīche se umr bhar Thahrī
hawas khoi hui KHud se be-KHabar Thahri
nazar jidhar bhi gai der tak udhar Thahri
junun ke ru-ba-ru koi na tajwar Thahra
hamare panw ki zanjir mo'atabar Thahri
hamare samne tha taKHt-o-taj ka aalam
nazar hamari magar ja ke dar par Thahri
gaya na main kisi surat panah mein us ki
wo chhanw mere liye der tak magar Thahri
ye dhup jis ko kahin shahr mein aman na mili
to be-jhijhak ye mere ghar ke baam par Thahri
na jaane kaun use de gaya gham-e-furqat
falak pe chandni be-sud raat bhar Thahri
ghazal udas bahut jaane aas mein kis ki
laga ke Tek dariche se umr bhar Thahri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.