hawas-o-hosh pe chhaya KHumar kis ka hai
havās-o-hosh pe chhāyā ḳhumār kis kā hai
koī nahīñ hai to phir intizār kis kā hai
agar shabīh tumhārī hai aa.ine jaisī
to phir ye pairahan-e-dāġh-dār kis kā hai
hamāre zaḳhmoñ pe aañsū haiñ kis kī āñkhoñ meñ
hamāre sog meñ sīna-figār kis kā hai
vahī batā.eñ jo ālūdgī ko rote haiñ
zamīñ se tā-ba-surayyā ġhubār kis kā hai
paḌā milā hai kahīñ ek chāñd kā TukḌā
batā.e kaun ki ye shāhkār kis kā hai
ḳhushī pe rone lage aur ġham pe hañsne lage
dil-e-hazīñ pe 'zafar' iḳhtiyār kis kā hai
hawas-o-hosh pe chhaya KHumar kis ka hai
koi nahin hai to phir intizar kis ka hai
agar shabih tumhaari hai aaine jaisi
to phir ye pairahan-e-dagh-dar kis ka hai
hamare zaKHmon pe aansu hain kis ki aankhon mein
hamare sog mein sina-figar kis ka hai
wahi bataen jo aaludgi ko rote hain
zamin se ta-ba-surayya ghubar kis ka hai
paDa mila hai kahin ek chand ka TukDa
batae kaun ki ye shahkar kis ka hai
KHushi pe rone lage aur gham pe hansne lage
dil-e-hazin pe 'zafar' iKHtiyar kis ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.