hawas-e-zulf-e-girah-gir liye baiThe hain
havas-e-zulf-e-girah-gīr liye baiThe haiñ
āyat-e-shauq kī tafsīr liye baiThe haiñ
āsmāñ saath chalā ghar kī zamīñ duur huī
tujh se duur ik rah-e-dil-gīr liye baiThe haiñ
vaj.h-e-ta.azīr huī be-vatanī bhī jab se
ambarīñ hāthoñ kī tahrīr liye baiThe haiñ
aap se aap vo khultī huī zulfeñ terī
ab isī sog kī tasvīr liye baiThe haiñ
haa.e kyā ahd-e-javānī-o-mohabbat hai ki ham
ik na ik marne kī tadbīr liye baiThe haiñ
zindagī be-dar-o-dīvār makāñ hai koī
kab se ik hasrat-e-tāmīr liye baiThe haiñ
koī apnoñ hī meñ qātil hai to ham chup se 'shahāb'
zaḳhm khaa.e hue shamshīr liye baiThe haiñ
hawas-e-zulf-e-girah-gir liye baiThe hain
aayat-e-shauq ki tafsir liye baiThe hain
aasman sath chala ghar ki zamin dur hui
tujh se dur ek rah-e-dil-gir liye baiThe hain
wajh-e-tazir hui be-watani bhi jab se
ambarin hathon ki tahrir liye baiThe hain
aap se aap wo khulti hui zulfen teri
ab isi sog ki taswir liye baiThe hain
hae kya ahd-e-jawani-o-mohabbat hai ki hum
ek na ek marne ki tadbir liye baiThe hain
zindagi be-dar-o-diwar makan hai koi
kab se ek hasrat-e-tamir liye baiThe hain
koi apnon hi mein qatil hai to hum chup se 'shahab'
zaKHm khae hue shamshir liye baiThe hain
- Book : sheerazah (Pg. 89)
- Author : makhmoor saeedi,Parem Gopal Mittal
- Publication : P -K Publication 3072 Partap stareet gola Market -Daryaganj delhi-6 (1973)
- Edition : 1973
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.