hawas ki gard uDai ja chuki hai
havas kī gard uḌaa.ī jā chukī hai
kisī se lau lagā.ī jā chukī hai
ab utre ho ma'āsh-e-sabz ban kar
zamīn-e-dil uThā.ī jā chukī hai
tumhārī yaad par hai zor apnā
ye duniyā āzmā.ī jā chukī hai
safar darpesh hai ab lā-makāñ kā
had-e-imkāñ miTā.ī jā chukī hai
falak-āmez tanhā.ī pahan kar
sadā ḳhud ko lagā.ī jā chukī hai
havā-e-jāñ kā vāvailā bhī sun lo
tamanna gungunā.ī jā chukī hai
hawas ki gard uDai ja chuki hai
kisi se lau lagai ja chuki hai
ab utre ho ma'ash-e-sabz ban kar
zamin-e-dil uThai ja chuki hai
tumhaari yaad par hai zor apna
ye duniya aazmai ja chuki hai
safar darpesh hai ab la-makan ka
had-e-imkan miTai ja chuki hai
falak-amez tanhai pahan kar
sada KHud ko lagai ja chuki hai
hawa-e-jaan ka wawaila bhi sun lo
tamanna gungunai ja chuki hai
- Book : Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 99)
- Author : Ameer Hamza Saqib
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.