haya ke mare wo wasl ke pal nazar ka parda gira rahi hai
hayā ke maare vo vasl ke pal nazar kā pardā girā rahī hai
agarche gāloñ kī surḳh rangat har ek ḳhvāhish jatā rahī hai
zarā hadoñ se nikal ke aage maroḌ dī jab kalā.ī us kī
lagā ki jaise vo kasmasā kar qarīb apne bulā rahī hai
ye hasratoñ ke bhaḌakte sho'le lage ki duniyā machal uThī ho
ukhaḌtī sāñsoñ kī dhoñknī ab laveñ diyoñ kī bujhā rahī hai
ye mogre ke mahakte gajre mahak rahā hai kabhī pasīna
lagī mahakne hayāt saarī mahak mahak meñ samā rahī hai
kabhī vo mehmāñ rahī hai merī kabhī vo kartī hai mezbānī
kabhī vo hotī hai oḌhnī sī kabhī vo ḳhud ko bichhā rahī hai
ghaTā.eñ barsī kināre TuuTe chunī haiñ rāheñ nadī ne apnī
vo ik samundar se mil ke apnī tamām hastī miTā rahī hai
haya ke mare wo wasl ke pal nazar ka parda gira rahi hai
agarche galon ki surKH rangat har ek KHwahish jata rahi hai
zara hadon se nikal ke aage maroD di jab kalai us ki
laga ki jaise wo kasmasa kar qarib apne bula rahi hai
ye hasraton ke bhaDakte sho'le lage ki duniya machal uThi ho
ukhaDti sanson ki dhonkni ab lawen diyon ki bujha rahi hai
ye mogre ke mahakte gajre mahak raha hai kabhi pasina
lagi mahakne hayat sari mahak mahak mein sama rahi hai
kabhi wo mehman rahi hai meri kabhi wo karti hai mezbani
kabhi wo hoti hai oDhni si kabhi wo KHud ko bichha rahi hai
ghaTaen barsi kinare TuTe chuni hain rahen nadi ne apni
wo ek samundar se mil ke apni tamam hasti miTa rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.