hayat aaj giran ho gai sabhi ke liye
hayāt aaj girāñ ho ga.ī sabhī ke liye
taras rahā hai har insān zindagī ke liye
nashāt-e-zīst kī takmīl ho nahīñ saktī
tumhārā dard zarūrī hai zindagī ke liye
riyā numūd-o-numā.ish kahāñ ibādat meñ
ḳhulūs-e-qalb zarūrī hai bandagī ke liye
agar hoñ qalb meñ ehsās ke diye raushan
bahut se rāste milte haiñ shā.erī ke liye
suḳhanvarān-e-dakan muttafiq haiñ sab 'aḳhtar'
‘safī' ġhazal ke liye thā ġhazal ‘safī' ke liye
hayat aaj giran ho gai sabhi ke liye
taras raha hai har insan zindagi ke liye
nashat-e-zist ki takmil ho nahin sakti
tumhaara dard zaruri hai zindagi ke liye
riya numud-o-numaish kahan ibaadat mein
KHulus-e-qalb zaruri hai bandagi ke liye
agar hon qalb mein ehsas ke diye raushan
bahut se raste milte hain shaeri ke liye
suKHanwaran-e-dakan muttafiq hain sab 'aKHtar'
‘safi' ghazal ke liye tha ghazal ‘safi' ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.