hayat-e-taza ka paigham inqalab mein hai
hayāt-e-tāza kā paiġhām inqalāb meñ hai
ki ik sukūn kā pahlū bhī iztirāb meñ hai
abhī se kyoñ dil-e-vārafta meñ hai josh-e-nashāt
abhī to jalva-e-rangīñ tirā hijāb meñ hai
ye maanā miT gayā amvāj kī kashākash se
magar numūd kī ik shaan to hijāb meñ hai
abhī kahāñ huī takmīl-e-ishq ai 'sāqib'
abhī to aarzū us kī dil-e-ḳharāb meñ hai
hayat-e-taza ka paigham inqalab mein hai
ki ek sukun ka pahlu bhi iztirab mein hai
abhi se kyon dil-e-warafta mein hai josh-e-nashat
abhi to jalwa-e-rangin tera hijab mein hai
ye mana miT gaya amwaj ki kashakash se
magar numud ki ek shan to hijab mein hai
abhi kahan hui takmil-e-ishq ai 'saqib'
abhi to aarzu us ki dil-e-KHarab mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.