hayat mein bhi ajal ka saman dikhai de
hayāt meñ bhī ajal kā samāñ dikhā.ī de
vahī zamīn vahī āsmāñ dikhā.ī de
qadam zamīñ se judā haiñ nazar manāzir se
ġharīb-e-shahr ko shahr āsmāñ dikhā.ī de
tamām shahar meñ be-chehragī kā aalam hai
jise bhī dekhiye gard aur dhuāñ dikhā.ī de
ik ek shaḳhs hujūm-e-ravāñ meñ tanhā hai
ik ek shaḳhs hujūm-e-ravāñ dikhā.ī de
kabhī suno to makīnoñ kā girya-e-saharī
lahūluhān sā ek ik makāñ dikhā.ī de
makīñ huuñ maiñ ki musāfir ye dasht hai ki dayār
qayām meñ bhī safar kā samāñ dikhā.ī de
darūn-e-dil ho ki bairūn-e-dil safar apnā
kahīñ lahad kahīñ ḳhālī makāñ dikhā.ī de
vo dhuup hai ki sulagtā hai saaya paaoñ tale
ḳhamīr-e-ḳhāk bhī aag aur dhuāñ dikhā.ī de
hai jism sho.ala hī sho.ala to jaañ hai pyaas hī pyaas
aur apnā saaya sarāb-e-tapāñ dikhā.ī de
maiñ kis taraf ko baḌhūñ āsmān hai na zamīñ
maiñ jis taraf bhī chalūñ ḳhauf-e-jāñ dikhā.ī de
zamīn hai ki falak paañv kis jagah haiñ nadīm!
mujhe batā, mujhe sab kuchh dhuāñ dikhā.ī de
sab apne dard ke dozaḳh meñ jal rahe haiñ 'shahāb'
magar zamīñ hameñ jannat-nishāñ dikhā.ī de
hayat mein bhi ajal ka saman dikhai de
wahi zamin wahi aasman dikhai de
qadam zamin se juda hain nazar manazir se
gharib-e-shahr ko shahr aasman dikhai de
tamam shahar mein be-chehragi ka aalam hai
jise bhi dekhiye gard aur dhuan dikhai de
ek ek shaKHs hujum-e-rawan mein tanha hai
ek ek shaKHs hujum-e-rawan dikhai de
kabhi suno to makinon ka girya-e-sahari
lahuluhan sa ek ek makan dikhai de
makin hun main ki musafir ye dasht hai ki dayar
qayam mein bhi safar ka saman dikhai de
darun-e-dil ho ki bairun-e-dil safar apna
kahin lahad kahin KHali makan dikhai de
wo dhup hai ki sulagta hai saya paon tale
KHamir-e-KHak bhi aag aur dhuan dikhai de
hai jism shoala hi shoala to jaan hai pyas hi pyas
aur apna saya sarab-e-tapan dikhai de
main kis taraf ko baDhun aasman hai na zamin
main jis taraf bhi chalun KHauf-e-jaan dikhai de
zamin hai ki falak panw kis jagah hain nadim!
mujhe bata, mujhe sab kuchh dhuan dikhai de
sab apne dard ke dozaKH mein jal rahe hain 'shahab'
magar zamin hamein jannat-nishan dikhai de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.