hayat-o-maut ke parde uTha diye jaen
hayāt-o-maut ke parde uThā diye jaa.eñ
ki ab nuqūsh-e-haqīqat dikhā diye jaa.eñ
tamām raat mire saath jale haiñ tanhā
sahar qarīb hai dīpak bujhā diye jaa.eñ
hamāre daur meñ hukkām kī ye sāzish hai
ki ḳhaam niiñv pe aivāñ banā diye jaa.eñ
zarā sī der kī ḳhushiyoñ ne un ko luuT liyā
udāsiyoñ ke nagar phir basā diye jaa.eñ
ḳhulūs-o-dostī biite dinoñ kī bāteñ haiñ
ki taaq par ye guhar ab sajā diye jaa.eñ
koī javāb hī jin kā na ban paḌe tum se
jo vo savāl hī ab ke uThā diye jaa.eñ
jo ham chale haiñ na.e naqsh ab kareñ paidā
tamām naqsh-e-kaf-e-pā miTā diye jaa.eñ
na.e haiñ taur tarīqe nizām-e-nau hai kañval
purāne daur ke qisse bhulā diye jaa.eñ
hayat-o-maut ke parde uTha diye jaen
ki ab nuqush-e-haqiqat dikha diye jaen
tamam raat mere sath jale hain tanha
sahar qarib hai dipak bujha diye jaen
hamare daur mein hukkaam ki ye sazish hai
ki KHam ninw pe aiwan bana diye jaen
zara si der ki KHushiyon ne un ko luT liya
udasiyon ke nagar phir basa diye jaen
KHulus-o-dosti bite dinon ki baaten hain
ki taq par ye guhar ab saja diye jaen
koi jawab hi jin ka na ban paDe tum se
jo wo sawal hi ab ke uTha diye jaen
jo hum chale hain nae naqsh ab karen paida
tamam naqsh-e-kaf-e-pa miTa diye jaen
nae hain taur tariqe nizam-e-nau hai kanwal
purane daur ke qisse bhula diye jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.