hazar aankhon se roya teri judai mein
hazār āñkhoñ se royā tirī judā.ī meñ
na hogā merī tarah koī ḳhud-numā.ī meñ
tamām umr kī mahrūmiyoñ kā mālik huuñ
lagāo ab koī hissa mirī kamā.ī meñ
zarā qarīb se dekhūñ to chehra-e-qātil
na itnī duur se yalġhār kar laḌā.ī meñ
ḳhatā hamārī nahīñ phuljaḌī hī giilī thī
bharī hai aag abhī tak diyā-salā.ī meñ
hazar aankhon se roya teri judai mein
na hoga meri tarah koi KHud-numai mein
tamam umr ki mahrumiyon ka malik hun
lagao ab koi hissa meri kamai mein
zara qarib se dekhun to chehra-e-qatil
na itni dur se yalghaar kar laDai mein
KHata hamari nahin phuljaDi hi gili thi
bhari hai aag abhi tak diya-salai mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.