hazar bach ke chale har tarah se dur kiya
hazār bach ke chale har tarah se duur kiyā
usī ḳhayāl ne dil meñ magar zuhūr kiyā
vo mere rang kā 'aadī maiñ us kī ḳhushbū kā
qiyām ham ne magar kitnā duur duur kiyā
bas ek baar jhukāyā thā sar tire dar par
phir us ke baa'd to ham ne bahut ġhurūr kiyā
uḌaa.e jaate hamesha patang kī sūrat
salām un ko jinhoñ ne hameñ tuyūr kiyā
bas apne dil ke ḳhudā se kalām karte rahe
aur apne ḳhaak ke tuude ko koh-e-tūr kiyā
kaThin dinoñ meñ bhī kyā kyā maze kiye 'bāqar'
milā ke zikr tirā ġham ko bhī surūr kiyā
hazar bach ke chale har tarah se dur kiya
usi KHayal ne dil mein magar zuhur kiya
wo mere rang ka 'adi main us ki KHushbu ka
qiyam hum ne magar kitna dur dur kiya
bas ek bar jhukaya tha sar tere dar par
phir us ke ba'd to hum ne bahut ghurur kiya
uDae jate hamesha patang ki surat
salam un ko jinhon ne hamein tuyur kiya
bas apne dil ke KHuda se kalam karte rahe
aur apne KHak ke tude ko koh-e-tur kiya
kaThin dinon mein bhi kya kya maze kiye 'baqar'
mila ke zikr tera gham ko bhi surur kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.