hazar gham hon to phir intiKHab kaise karun
hazār ġham hoñ to phir intiḳhāb kaise karūñ
darīda dil ko maiñ nazr-e-azāb kaise karūñ
maiñ us ko bhuul chukā thā ka.ī baras ke baad
milī hai vasl kī saa.at hisāb kaise karūñ
vahī hai ishq kī manzil vahī vafā kā safar
khulī jo aañkh zarā zikr-e-ḳhvāb kaise karūñ
ġham-e-hayāt kī ab koī intihā hī nahīñ
maiñ apnī zaat ko vaqf-e-sarāb kaise karūñ
ye shahr-e-dard hai ai dostān-e-dil-zadgāñ
vafā shumār karūñ ehtisāb kaise karūñ
vahī hai azmat o jaah o hasham vahī mansab
faqīh-e-shahr vahī hai ḳhitāb kaise karūñ
'sabā' vo shaḳhs abhī tak hai mujh se begāna
maiñ us kī zaat se phir intisāb kaise karūñ
hazar gham hon to phir intiKHab kaise karun
darida dil ko main nazr-e-azab kaise karun
main us ko bhul chuka tha kai baras ke baad
mili hai wasl ki saat hisab kaise karun
wahi hai ishq ki manzil wahi wafa ka safar
khuli jo aankh zara zikr-e-KHwab kaise karun
gham-e-hayat ki ab koi intiha hi nahin
main apni zat ko waqf-e-sarab kaise karun
ye shahr-e-dard hai ai dostan-e-dil-zadgan
wafa shumar karun ehtisab kaise karun
wahi hai azmat o jah o hasham wahi mansab
faqih-e-shahr wahi hai KHitab kaise karun
'saba' wo shaKHs abhi tak hai mujh se begana
main us ki zat se phir intisab kaise karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.