hazar hikmaten zehnon mein Dal deta hai
hazār hikmateñ zehnoñ meñ Daal detā hai
musībatoñ se vo sab ko nikāl detā hai
chamaktī chīzoñ pe huzn-o-malāl detā hai
ḳhushī meñ ranj kā pahlū nikāl detā hai
sab us kī maslihateñ haiñ bashar ko duniyā meñ
kabhī 'urūj kabhī vo zavāl detā hai
sabhī ko miltā nahīñ mansab-e-ḳhud-āgāhī
kisī kisī ko ḳhudā ye kamāl detā hai
usī ke dam se hai baaqī ye raunaq-e-duniyā
jo āñdhiy.oñ meñ diyoñ ko ujaal detā hai
vo apne bandoñ kī sab hājateñ samajhtā hai
har ek chiiz hameñ hasb-e-hāl detā hai
vahī zamāne meñ kartā hai surḳh-rū ham ko
hunar hameñ jo ‘adīm-ul-misāl detā hai
nazar jo pher le kangāl ho ke rah jaa.eñ
jo aa.e dene pe kasrat se maal detā hai
vo is liye ki natīja ba-ḳhair ho sab kā
hamāre zehnoñ ko fikr-e-ma.āl detā hai
usī ke fazl se zehn-e-rasā milā ham ko
vahī hai jo hameñ ūñche ḳhayāl detā hai
ye nāḳhudā kā nahīñ hai ḳhudā kā kaam 'zakī'
bhañvar se jo mirī kashtī nikāl detā hai
hazar hikmaten zehnon mein Dal deta hai
musibaton se wo sab ko nikal deta hai
chamakti chizon pe huzn-o-malal deta hai
KHushi mein ranj ka pahlu nikal deta hai
sab us ki maslihaten hain bashar ko duniya mein
kabhi 'uruj kabhi wo zawal deta hai
sabhi ko milta nahin mansab-e-KHud-agahi
kisi kisi ko KHuda ye kamal deta hai
usi ke dam se hai baqi ye raunaq-e-duniya
jo aandhiyon mein diyon ko ujal deta hai
wo apne bandon ki sab hajaten samajhta hai
har ek chiz hamein hasb-e-haal deta hai
wahi zamane mein karta hai surKH-ru hum ko
hunar hamein jo ‘adim-ul-misal deta hai
nazar jo pher le kangal ho ke rah jaen
jo aae dene pe kasrat se mal deta hai
wo is liye ki natija ba-KHair ho sab ka
hamare zehnon ko fikr-e-maal deta hai
usi ke fazl se zehn-e-rasa mila hum ko
wahi hai jo hamein unche KHayal deta hai
ye naKHuda ka nahin hai KHuda ka kaam 'zaki'
bhanwar se jo meri kashti nikal deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.