hazar karte raho jatan tum jatan ke dam par bujha kahin se
hazar karte raho jatan tum jatan ke dam par bujha kahin se
Hamza Hashmi Soz
MORE BYHamza Hashmi Soz
hazār karte raho jatan tum jatan ke dam par bujhā kahīñ se
bujhā sako to bujhā ke dekho ubhar paḌegā
sukūt lab ho zamīr lekin ḳhamosh mujh ko na rahne degā
pukārne par pukārtī hai mire hī andar sadā kahīñ se
yahāñ vo dār-o-rasan nahīñ haiñ kisī kī jaañ hai samar kisī kā
lahū kahīñ se chhalak paḌegā uThegā rañg-e-hinā kahīñ se
jahāñ ke zindāñ meñ habs āḳhir rahegā kab tak saheñge kab tak
jahāñ to āḳhir jahāñ rahegā jahāñ meñ DhūñDo sabā kahīñ se
numū suḳhan meñ hai āmadoñ kī suḳhan pe kāmil yaqīñ mujhe hai
qalam to merā hī chal rahā hai pa ho rahī hai atā kahīñ se
hazar karte raho jatan tum jatan ke dam par bujha kahin se
bujha sako to bujha ke dekho ubhar paDega
sukut lab ho zamir lekin KHamosh mujh ko na rahne dega
pukarne par pukarti hai mere hi andar sada kahin se
yahan wo dar-o-rasan nahin hain kisi ki jaan hai samar kisi ka
lahu kahin se chhalak paDega uThega rang-e-hina kahin se
jahan ke zindan mein habs aaKHir rahega kab tak sahenge kab tak
jahan to aaKHir jahan rahega jahan mein DhunDo saba kahin se
numu suKHan mein hai aamadon ki suKHan pe kaamil yaqin mujhe hai
qalam to mera hi chal raha hai pa ho rahi hai ata kahin se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.