hazar KHamushi-e-dil suKHan se Khaali hai
hazār ḳhāmushī-e-dil suḳhan se ḳhālī hai
isī sukūt se āvāz kī bahālī hai
sukūn-e-qalb kī nāgāh darhamī se khulā
ki maiñ ne daulat-e-duniyā bahut kamā lī hai
mujhe ye hukm anā ḳhaak meñ milā kar aa
tujhe gumāñ tire dar par koī savālī hai
yahī rahā hai azal se tarīq-e-ahl-e-dil
kamāl kyā hai haqīqat meñ be-kamālī hai
hamesha mujh se ḳhafā hī rahī hai tanhā.ī
sabab ye hai ki tirī yaad jo bachā lī hai
hazar KHamushi-e-dil suKHan se KHali hai
isi sukut se aawaz ki bahaali hai
sukun-e-qalb ki nagah darhami se khula
ki main ne daulat-e-duniya bahut kama li hai
mujhe ye hukm ana KHak mein mila kar aa
tujhe guman tere dar par koi sawali hai
yahi raha hai azal se tariq-e-ahl-e-dil
kamal kya hai haqiqat mein be-kamali hai
hamesha mujh se KHafa hi rahi hai tanhai
sabab ye hai ki teri yaad jo bacha li hai
- Book : Kitab Gumrah Kar Rahi Hai (Pg. 75)
- Author :Shahram Sarmadi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.