hazar koshish ka hai natija ki bebasi ko samajh gaya hun
hazār koshish kā hai natīja ki bebasī ko samajh gayā huuñ
maiñ ḳhud ko barbād kar rahā huuñ tirī ḳhushī ko samajh gayā huuñ
mirī nazar ke mushāhide meñ avaam kī sarfaroshiyāñ haiñ
maiñ qaisarān-e-jahāñ ke asbāb-e-qaisarī ko samajh gayā huuñ
amal se mahrūm ye taqāze faqat nazariye faqat irāde
ye zindagī zindagī nahīñ hai maiñ zindagī ko samajh gayā huuñ
ai mere mā'būdiyat ke da.ave pe laakh fatve lagāne vaalo
merā koī jurm hai to ye hai maiñ bandagī ko samajh gayā huuñ
rifāqat-e-hūr kī havas meñ butoñ kī tauhīn kar rahā hai
janāb-e-vā.iz maiñ is ḳhudā ke ḳhushāmadī ko samajh gayā huuñ
faroġh-e-tahzīb-o-irtiqā kī bulandiyāñ haiñ mirī nazar meñ
ḳhudā kī azmat se munharif huuñ maiñ aadmī ko samajh gayā huuñ
mujhe yaqīñ hai na ho sakegā ye qāfila kāmyāb manzil
maiñ rahbaroñ ke haqīqī jazbāt-e-rahbarī ko samajh gayā huuñ
hazar koshish ka hai natija ki bebasi ko samajh gaya hun
main KHud ko barbaad kar raha hun teri KHushi ko samajh gaya hun
meri nazar ke mushahide mein awam ki sarfaroshiyan hain
main qaisaran-e-jahan ke asbab-e-qaisari ko samajh gaya hun
amal se mahrum ye taqaze faqat nazariye faqat irade
ye zindagi zindagi nahin hai main zindagi ko samajh gaya hun
ai mere ma'budiyat ke dawe pe lakh fatwe lagane walo
mera koi jurm hai to ye hai main bandagi ko samajh gaya hun
rifaqat-e-hur ki hawas mein buton ki tauhin kar raha hai
janab-e-waiz main is KHuda ke KHushamadi ko samajh gaya hun
farogh-e-tahzib-o-irtiqa ki bulandiyan hain meri nazar mein
KHuda ki azmat se munharif hun main aadmi ko samajh gaya hun
mujhe yaqin hai na ho sakega ye qafila kaamyab manzil
main rahbaron ke haqiqi jazbaat-e-rahbari ko samajh gaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.